Chal pade hum dost sabhi

Chal pade hum dost sabhi
Un pahado aur vadiyo me
Chala kafila hamara
Hawa se baate karti gadiyo me
Kabhi tum aage kabhi hum
Chalte chale un tang galiyo me
Kitne pahad kitne pathhar
Raste me chod aaye hum un khaiyo me
Pahado ka seena cheer ke
Chal pade hum manzil ki aur
Dil me toofan mann me umang
Jana hai hume pahad ke us aur
Lo hum pahuch gaye jisko
Forest Retreat kehte hai sabhi
Jungle me mangal kya hota hai
Hum samajh gaye sabhi
Chap chappak pool me pani ki awaze
Maza aa gaya
hume
Jab door aravali ke pahad
ghoor ke yu dekhen hume
Din dhala yu raat hui
Pahado ke paar unche aasman me
Chand ko dekhte dekhte kya baat hui
Fir yu jam se jam takraye
Aur sabse dil ki yu baat hui
Ek haseen din ke baad
Chand sitaro bhari mastani raat hui
Din naya fir chada chidiyo ke chehkane se
Pahado ne pucha humse kya tumhe khushboo aayi
Phoolon key yu mehkane se?
Koi chal pada uss pool ki taraf
Koi kinare baithe niharte rahe
Koi chal pada pahado pe
Koi niche kheton me yuhi ghumte rahe.
Sooraj yu fir chad gaya
apni puri unchaiiyo me
Gher liya usne jaise ye jahan apni puri aagoshi me
Chal pade hum fir apni apni manzil ki aur
Jaise sham hote hi pakshi ud chale
Apne apne gharondon ki aur
Yu guzre hamare ye din dosto ke saath
Kumbalgargh ki ghatio me jab hum
Sab chale saath saath.
Ab to dil bas yahi kehta hai
Kaafila yuhin chalta rahe hamara nayi manzilo ki aur
Zindagi yuhi kat ti rahe hamari aise pyare dosto ke sang!!
Ab to dil bas yahi kehta hai
Kaafila yuhin chalta rahe hamara nayi manzilo ki aur
Zindagi yuhi kat ti rahe hamari aise pyare dosto ke sang!!
Comments
Post a Comment
I would like to have your Opinion on this. Please feel free to share your views!!!!