Kab ke bichde huye hum aaj yaha aake mile hai...


While browsing some old docs...i came across this poem of two love birds which I wrote in 2007 and I am happy to post the same...


Do pyar karne wale
ek sunsaan sadak pe mile
pyar ki nishaniya dono ne di
ek padosi ne unko raho me dekha
aur unka pyar jo zamane se chupa tha
aaj vo samne aa gaya
dono ka izhaar aaj
zamane ki nazro me aa gaya
par zamane ne dono ke pyar ko inkaar kiya.
Vo kya karte
ek uttar to ek dakshin tha
yahi baat pe sabne unke pyar ko inkaar kiya
par ye dil jispe a jaye
uska kya kare
pyar vo jisse kar le
uska kya kare.

Duniya ko samjhaya par vo na mane
do pyar karne walo ko alag hi karna tha unhe
dono ek dusre pe marte the
ek dusre se alag nahi reh sakte the.

Fir dono ne faisla kiya
saath ji to na sake to
saath marne ka vada kiya
aur ek saath maut ki aagosh me kho gaye
ek dusre ki baaho me so gaye.

Fir ek din sadak ke kinare, sardi ke mausam me
dono ne ek dusre ko dekha aur dekhte hi reh gaye
jaise pehli nazar me hi pyar ho gaya ho.

Ye tha unka dusra janam
jisme vo the ek dharam
aur ban gaye ek dusre ke sanam
dono ko kuch yaad na tha
lagta tha pehle kahi mil chuke hai
vahi rang roop
vahi chehra, vahi aawaz, vahi andaaz
dil ke taar pehle jud chuke hai
aisa kuch yaad aata hai dono ko
pehle bhi kahi mil chuke hai
aisa kuch yaad aata hai dono ko
fir se zindagi us mod pe le aayi
aur ab unki shadi ki baji shahnayi.

Comments

Popular posts from this blog

Restructure your Corporate Model

FISH Philosophy!!!

Building Bully- Free Workplace