Chal pade hum dost sabhi

My recent visit with friends to Kumbalgargh Chal pade hum dost sabhi Un pahado aur vadiyo me Chala kafila hamara Hawa se baate karti gadiyo me Kabhi tum aage kabhi hum Chalte chale un tang galiyo me Kitne pahad kitne pathhar Raste me chod aaye hum un khaiyo me Pahado ka seena cheer ke Chal pade hum manzil ki aur Dil me toofan mann me umang Jana hai hume pahad ke us aur Lo hum pahuch gaye jisko Forest Retreat kehte hai sabhi Jungle me mangal kya hota hai Hum samajh gaye sabhi Chap chappak pool me pani ki awaze Maza aa gaya hume Jab door aravali ke pahad ghoor ke yu dekhen hume Din dhala yu raat hui Pahado ke paar unche aasman me Chand ko dekhte dekhte kya baat hui Fir yu jam se jam takraye Aur sabse dil ki yu baat hui Ek haseen din ke baad Chand sitaro bhari mastani raat hui Din naya fir chada chidiyo ke chehkane se Pahado ne pucha humse kya tumhe khushboo aayi Phoolon key yu mehkane se? Koi chal pad...